Wednesday, April 05, 2006

Some kool shayaries... (First one is my favourite...)

Note: These are not written by me. Only the comments in between are my personal.

Liked this for the meaning it conveys (too good) -
Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi, Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.

Hmmm, I hope I remember this to say this to some (worthy) girl, sometime -
Kya kahun tujhe?
Khwab kahun to toot jayega, dil kahun to bikhar jayega,
Aa tera naam zindagi rakh dun, maut se pehle to tera saath chuut na payega!

This reminds me of those gals, who usually smile to attract attention -
Itna khubsurat kaise muskura lete ho,
Itna qatil kaise sharma lete ho,
Kitni aasani se jaan le lete ho,
Kisi ne sikhaya hai...ya bachpan se hi kamine ho?

This one's are just for their humour. Some rip off's to the listener, some really sweet & some wishful enough to SMS around to pals -

Yun to kisika peecha nahin karte, Dard-e-dil diya aur liya nahin karte,
Ittefaq ki baat hai ye hamari dosti varna,
Itni kimti SHAYARI Hum kisi ko sunaya Yun to kisika peecha nahin karte

Arz hai,
Chai ke cup se uthte dhuein mein teri shakl nazar aati hai,
Tere khyalon mein kho kar aksar meri chai thandi ho jaati hai.

Ek tanha raat me apki yaad aayi, tanhai mitane ko humne ek cigrate sulgai,
na jaane kaise qayamat ho gayi ke dhooeein ne bhi apki tasvir banayi.

Kaash is dil ki awaz mein itna asar ho jaye,
Hum apko yaad karein, aur aapko khabar ho jaye,
Khuda se maangte hain ki aap jise bhi chaho,
Woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jaye.

Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.

Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaass bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.
Apni yadon se keho ki yun na sataya kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai.

Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
Hamne khud ko khushnaseeb paya,
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya.

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte.

Tere DIL mein rahenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK bankar!

Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,
apke chehre ko gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka,
warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.

Safar lamba hai dost banate rahiye,
Dil mile na mile haath badate rahiye,
Taj na banaiye costly padega,
Har taraf Mumtaj banate rahiye.

Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho,
Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho,
Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho?

Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.